Yaad hai humain

aagaaz-e-muhabat ki ta’zeem yaad hai hamain
wo nazroun ki hangama a’rahe yaad hai hamain
harja pesteyoun ki nazr jo dil lagi huvi
u’rooj uska,wo kamalaat yaad hai hamaen
to kya duriyaan garr kar gayi hain
wo sarapa kashma’kash yaad hai hamain
ab jo mazmoom, deh’shath zada ho rahe hain
uss ki wo bay baaki yad hai hamain
bai’gaana sa jo ma’loom hoota hai ab
uss ka wo qu’wat-e-mah’soor yaad hai hamain
katay taa’luq ka jissay soch rahe ho Urfan
wo ek din kay tawaja ka markaz yaad hai hamaen
Poet is pursuing MBBS at GMC Srinagar.